Pages

Tuesday, 21 October 2014

MARD AUR AURAT KI NAMAZ MAY FARQ

MUNAAZIR E ISLAM
WAKEEL E AHNAAF
TARJUMAAN E AHLE SUNNAT
HAZRAT MAULANA AMEEN SAFDAR OKARVI
Bismillahir Rahmanir Raheem
IBTEDAIYAH :: Eimaan kay baad sub say aeham eibaadat namaz hay - chunacha Aanhazrat Sallallahu Alahi Wasallam nay farmaya k qiyaamat kay din sub say pehlay namaz ka hisab hoga - aaj kal musalmaan is may bohot soosti karrahay hain is liye nihaayat zaroori hay k musalmanoon ko namaz ki pabandi ki talqeen ki jaye.
ALLHUMDULILLAH Tableegi jama'at is per raat din mehnat karrahi hay lekin laamazhab germuqallideen baynamaziyoon per mehnat karnay kay bajaaye namaziyoon kay diloon may waswasay daaltay rehtay hain k tumhari namaz nahi hoti - ye loog awaam kay saamnay raat din ye kehtay hain k hum sirf Quran o Hadees ko maantay hain lekin jub say {Dour e Angrezi may} ye firqa'h bana hay is ki tehreeroon aur taqreeroon say yahi pata chalta hay k Quran Paak say in ki qismat may sirf mutashabihaat aayi hain - ye tareeqah Quran Paak kay muwaafiq kaj diloon ka hay aur Hadees say in kay hissah may sirf muta'arizaat aayi hain - Hazrat Siddique e Akbar Razi Allahu Aunhu nay aesi Ahaadees kay bayan karnay say sakhti say mana'a farmaya tha kiyo kay is say ummat may ikhtelaaf shadeed hota hay.
[TAZKIRAT UL HUFFAAZ PAGE 27 JILD 1]
Aesi muta'ariz rivayaat may Allah Ta'ala aur Rasool e Aqdas Sallallahu Alahi Wasallam ka koi feslah ummat kay paas mehfooz nahi hay - ager koi shukhsh in may say 1 ko raje'h aur dusri ko marjooh qaraar deta hay to ye bhi ummati ka ijtehaad hay , ager koi 1 ko saheeh aur dusri ko zaeef kehta hay to ye bhi ummati ka ijtehaad hay , is liye Ahle Sunnat Wal Jama'at aesay mouqah per pehlay ijma'a ko dekhtay hain ager muta'arizaat may 1 taraf ki rivayaat per ijma'a hay to in per amal kartay hain aur ager ijma'a na ho to is ta'aruz kay liye mujtahid ki taraf ruju'o kartay hain , kiyo kay Hadees e Ma'az Razi Allahu Aunhu say saraahatan sabit hay k ager feslah Kitab o Sunnat say na milay to ijtehaad ki taraf ruju'o kiya jaye ga - jo shukhs khud ijtehaad karsakta hay wo khud ijtehaad karay aur jo is ki aehliyat na rakhta ho wo mujtahid ki taqleed kar kay raje'h Hadees per amal karay - Aayimma'h Mujtahideen ka ye ikhtelaaf Haq aur Batil ka ikhtelaaf nahi balkay Savaab aur Khata'a ka ikhtelaaf hay aur mujtahid na hi ma'asoom hay na hi ma'atoon hay balkay her her haal may maajoor hay , khuwaa 2 ajar milain ya 1 ajar milay , amal baharhaal maqbool hay is liye kisi waswasah ki zaroorat nahi.
Is kay bar'aks laamazhab germuqallideen ka tarz aesi rivayaat kay baray may nihaayat khatarnaak hay in kay molvi apni jahaalat ko chhupanay kay liye khud to roposh hain , an pardh larkoon ko gali bazaar may chordha huwa hay in ka tarz ye hay :
01 = Jis say miltay hain us per pehla sawal ye kartay hain k aap ka falaan amal kis Hadees may hain aur shoor machatay hain k tumharay paas koi hadees nahi - jub aap in say puchain k aap kay paas is amal kay khilaaf kon si Hadees hay to KHAAMOSH.
02 = In say aap puchain k aap jo falaan amal kartay hain is ki Hadees sunayain to chonkay in ko Hadees nahi aati is liye foran'n kehtay hain k tum hi Hadees sunaaon k kis Hadees may yeh kaam mana'a hay ?
03 = Jub inhain dikhadi jaaye to us ko hergiz nahi maantay bus ye jawaab detay hain k ye Sahaah Sitta'h may nahi - Sahaah Sitta'h kay eilaawah tamaam Ahaadees ka khullam khulla inkar kartay hain aur name ahlehadees rakhtay hain.
04 = Ager Sunan e Arba'h say Hadees dikhayain to kehtay hain k hum nahi maantay , Bukhari o Muslim say dikhao - is tarah Sunan e Arba'h ki Ahaadees kay bhi munkar hain.
05 = Ager Sahaah Sitta'h say koi Hadees dikhayain to foran'n apni taraf say koi shart laga detay hain k falaan lafz hoga to hum manain gay warna hum nahi manain gay - goya ye firqa'h Allah Ta'ala aur Rasool e Aqdas Sallallahu Alahi Wasallam ko yeh mashwara deta hay k Hazrat ager koi deeni maslah batana ho to hum say puch lena k kin alfaaz may maslah bayan karain aur kis shart kay muwaafiq baat karain - Aey Allah Ta'ala ! Aey Nabi Paak ! Aap nay apnay alfaaz may koi maslah bayaan farmaadiya jo hamari shart kay muwaafiq na ho to hum hergiz nahi manain gay - yaad rahay k ye laamazhab na Khuda ki maantay hain na Rasool Sallallahu Alahi Wasallam ki , sirf apni shart per EIMAAN rakhtay hain.
06 = Ager aesi Hadees bhi pesh kardi jaaye jis may wohi alfaaz hoon aur in ki shart bhi puri hojaaye to phir bhi is ko bilkul nahi maantay balkay bardhay zour o shoor say kehtay hay Zaeef hay, Zaeef hay, Zaeef hay - taakay awaam samjhain k bardha Muhaddis hay halaankay wo school ka Taalib e Ilm ya Dukandaar hota hay - algarz Inkaar e Hadees kay liye ye firqa'h her Dhoka karta hay.
07 = Yeh loog kehtay hain k Ahnaaf ki namaz galat hay hum kehtay hain k achcha hum takbeer e tehreema'h say namaz shuru'o kartay hain aap biltarteeb her masla'h kay khilaaf 1, 1 Saheeh Sareeh Ger Mua'ariz Hadees likhwatay jaayain to bilkul tayyaar nahi hoon gay - halaankay Hadees likhwana koi gunaah nahi.
08 = Wo yeh kehtay hain k hum jo namaz pardhtay hain is ka her her masla'h Hadees say sabit hay to hum kehtay hain k namaz badni afa'al aur zabaani azkaar ka majmuwa'h hay - aap apni namaz kay a'amaal aur azkaar biltarteeb likh dain phir her amal aur ziker ki tarteeb aur darja'h k yeh Farz hay ya Sunnat ya Nafil wagera'h Hadees Sareeh say dikhayain , aur her ziker kay baray may ye feslah k buland awaaz say pardha jaaye ya aahistah is ki Sareeh Hadees dikhatay jayain aur her amal aur ziker may bhool ka masla'h Hadees Sareeh say batatay jayain to hergiz tayiyaar nahi hoon gay - Karachi , Raheem yaar khan , Kohat , Wahari , Lahore , Okara , Pul kalar wali aur Haroonabad may wada'h karkay bhaag gaye hain , jhoot boltay hain k hum nay apni mukammal namaz falaan shehar may sabit kardi lekin jub kaha jata hay kay Cassettain laaon to foran'n aakar kehtay hain k Cassettain hamaray paas moujood hain hum nay khud suni hain - jub kaha jata hay k hamain un Cassettoon say mukammal masayeel Hadees say sunadoo to waha Takbeer e Tehreemah kay maslah ki bhi puri wazaahat nahi milti.
09 = In logoon say jub kaha jata hay k aap namaziyoon kay diloon may waswasay kiyoon daaltay hain? kiyo kay Quran e Paak nay waswasay daalnay walay ko Khannaas kaha hay na k ahlehaees , to awaam ko kehtay hain k hum to tehqeeq kartay hain - to yaad rahay k ye tehqeeq nahi balkay gunaah aur fitna fasaad hay kiyo kay ye loog na to Muhaddis hain na Mujtahid , balkay beyilm aur na'aehl hain - Aanhazrat Sallallahu Alahi Wasallam nay farmaya aakhri zamanay may beyilm loog fatwa'a diya karain gay wo khud gumraah hoon gay aur dusroon ko gumraah karain gay {Bukhari} - aur dusri Hadees e Paak may hay k
اذا وسد الامر الی غیر اھله فانتظر الساعة"‏‎ = ‎بخاری
"kay jub na'aehl ki taraf mua'amlah supard kiya jaaye gaa to wo qiyaamat dhaaye gaa" - aur qiyaamat name hi fasaad ka hay wo bhi deen may fasaad barpaa karain gay aur ajeeb baat hay k is fasaad ka name tehqeeq rakha hay aur ye loog bawajood jahil aur na'aehl honay kay Mujtahideen misel Aayimma'h Arba'h aur Muhaddiseen maslan Zel'ai , Aeni , Ali Qari , Ibne Tarkumani , Allama Anwar Shah , Hazrat Binori Rehmahumullah wagerah per tanqeedain kartay hain aur in say jhagrdha kartay hain halaankay Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam Bea'at letay waqt ye shart liya kartay thay k
ان لا تنازع الامر اھله = ‎بخاری
"k aehl e fan say munaazi'at nahi karain gay" - ye na'aehl ki munaazi'at gunaah e kabeerah hay , laamazhaboon nay is ka name tehqeeq rakha hay halaankay Quran Majeed may hay
الفتنة اشد من القتل
Laamazhab germuqallideen aur Ahnaaf kay darmiyaan bohot say masayeel may ikhtelaaf hay in masayeel may say 1 ye maslah bhi hay k Aurat aur Mard ki namaz may koi farq hay ya nahi ? Germuqallideen kehtay hain k koi farq nahi hay - laamazhab germuqallideen ka ye maslah Quran o Hadees say hergiz sabit nahi hay balkay Ijma'a e Ummat aur Ahaadees kay khilaaf mehaz Ibne Hazum Zahiri ki taqleed per mabni hay.
Shariyat e Mutahara may baaz aehkaam Mard aur Aurat may mushtarik honay kay bawajood baaz tafseelaat may farq hota hay maslan:
01 = Hajj Mard aur Aurat donoon per farz hay mager Aurat kay liye zaadraah kay eilaawah mahram ki shart bhi hay ya khawind sath ho.
02 = Hajj say aehraam khol kar Mard sir mundwaatay hain mager Aurat sir nahi mundwaati.
03 = Hukum e Nikah Mard o Aurat donoon may mushtarik hay mager talaaq mard kay sath khaas hay is ka haq sirf Mard ko hay iddat Aurat kay sath khaas hay.
04 = 1 Mard ko 4 Aurtoon kay sath nikah ki ijaazat hay mager 1 Aurat ko 1 say zayid Mard say nikah ki ijaazat nahi.
Khud laamazhab germuqallideen bhi namaz kay bohot say masayeel may Mard aur Aurat kay darmiyaan farq kartay hain - maslan:
01 = In ki masaajid may Mard to imam aur khateeb hain lekin kisi masjid may Aurat na imam hay na khateeb.
02 = In ki masaajid may muaz'zan hamesha Mard hota hay Aurat ko kabhi muaz'zan nahi banatay.
03 = Namaz ba'jamat ki iqaamat hamesha Mard kehtay hain Aurat say iqaamat nahi kehalwatay.
04 = Hamesha agli safoon may Mard khardhay hotay hain , Aurtoon ko agli safoon may khardha nahi kartay.
05 = In kay aksar Mard nangay sir namaz pardhtay hain mager Aurtain namaz kay waqt Dupattah nahi autaar phenkteen.
عن عائشة رضی الله عنها قالت قال رسول الله صلی الله علیه وسلملا تقبل صلوۃ الحائض الابخمار
[TIRMIZI PAGE 86 JILD 1 + ABU DAWOOD PAGE 94 JILD 1]
Hazrat Aayisha Razi Allahu Aunha farmati hain k Rasoolullah Sallallahu Alahi Wasallam nay farmaya baaligha Aurat ki namaz aordhni kay bagair qabool nahi hoti.
06 = In kay Mardoon ki aksar kohniyaan aur nisf pindiliyaan namaz may nangi rehti hain lekin in ki Aurtain is tarah namaz nahi pardhti.
07 = Mard aur Aurat kay "Satar e Aurat" may bhi farq hay.
08 = Namaz e Jumma'h Mard per farz hay Aurat per farz nahi - isy tarah namaz e panchjegana ka ba'jamat adaa karna Mardoon per lazim hay na k Aurtoon per.
09 = Namaz may koi baat pesh aaye to Mard tasbeeh kahay aur Aurat hath say khatka karay
[TIRMIZi wagerah]
Zahir hay k in sub masayeel may sunnatoon balkay faraayiz tak kay muqablay may Aurat kay satar aur pardah ko khaas aehmiyat di gayi hay is liye Aayimma'h Arba'h nay ruku'o, sujood aur qaidah wagerah ki hai'yat may bhi Mard aur Aurat kay farq ko malhooz rakha hay aur is may asal illat isy satar poshi ko qaraar diya hay.
Aayimma'h Ahnaaf may say Sahib e Hidaya'h farmatay hain k Aurat hath kandhoon tak authaaye ye is kay liye ziyada satar ka bayis hay aur sijda'h ka maslah bayan kartay huwe farmatay hain k Aurat simat kar sijda'h karay ye is kay parda'h kay ziyada munasib hay.
Imam Shafayi Rehmahullah Kitab ul Aalaam {PAGE 511 JILD 1} may farmatay hain Aurat kay liye pasandeedah yahi hay k simat kar sijda'h karay kiyo kay ye ziyada bayis e satar hay aur saari namaz may satar ka aehtmaam karay.
Imam Nawavi Rehmahullah nay majmu'o may isy tarah Mazhab e Shafayi bayan kiya hay.
Malkiya'h may say Abu Zaid Qerwaani nay "Alrisaalah" may saraahat farmaayi hay k Ibne Ziyaad ki rivaayat jo saheeh hay yahi hay k Imam Malik Rehmahullah nay farmaya k Aurat simat kar sijda'h karay.
[BAHAWALAH NASB UL AMOOD PAGE 50]
Hanaabla'h ki mua'atibar kitab Mughni Ibne Qidama'h may bhi is farq ki saraahat moujood hay.
[QAALA AL IMAM AL KHARQI AL HANBALI REHMAHULLAH]
و الرجل و المرأۃ فی ذالك سواء الا ان المرأۃ تجمع نفسها فیالرکوع و السجود و تجلس متربعة او تسدل رجلیها فتجعلها فیجانب یمینها {قال الشارح ابن قدامة الحنبلی رحمه اللهالاصل انیثبت فی حق المرأۃ من احکام الصلوۃ ما ثبت للرجال لان الخطابیشملاه غیر انها خالفته فی ترك التجافی لانها عورۃ فاستجب لاهجمع نفسها لیکون استرلها فانه لا یومن ان یبدو منها شيء حالالتجافی و ذلك فی الافتراش قال احمد والسدل اعجب الی و اختارہالجلال
[AL MUGHNI LA BIN IBNE QIDAMA'H PAGE 562 JILD 1]
Imam Kharqi Rehmahullah farmatay hain k Mard o Aurat is may baraaber hain siwaaye is kay k Aurat ruku'o o sujood may apnay aap ko ikhatta karay {Sukerdhay} phir ya to chahaar zano bethay ya sidal karay k donoon paaon ko dayain janib nikal day , Ibne Qidama'h Hanbali Rehmahullah is ki sharah may farmatay hain k asal ye hay k Aurat kay haq may namaz kay wohi aehkaam sabit hoon jo mard kay liye sabit hain kiyo kay khitaab donoon ko shaamil hay ba'yain hama'h Aurat Mard ki mukhalifat karay gi tark tajaafi may {yani Aurat Mard ki tarah ranoon ko pait say door nahi rakhay gi balkay milaaye gi} kiyo kay Aurat satar ki cheez hay lihaaza is kay liye aap {Aurat} ko samait kar rakhna mustahab hay takay ye is {Aurat} kay liye ziyada satar ka bayis banay wajah yeh hay k Aurat kay liye ranoon ko pait say juda rakhnay may is baat ka andesha hay k is ka koi auzu khul jaye.
Muhaddiseen may say Ibne Daqeeq Alaeed nay sharah "Umdat ul Ahkaam" may aur Hafiz Ibne Hijr nay "Tilkhees ul Habeer" may isy ko bayan farmaya hay balkay germuqallideen may say Ameer e Yamaani nay "Sablus Salaam" may , Moulana Abdul Jabbar Gaznavi nay "Fatawa'a Gaznaviyah" may aur Molvi Ali Muhammad Saeedi nay "Fatawa'a Ulama e Hadees" may is tarah likha hay balkay Molvi Abdul Haq Hashmi Mahajir Makki Germuqallid nay is farq per pura risalah likha hay jis ka name hay:
نصب العمود فی تحقیق مسئله تجافی المراۃ فی الرکوع و السجودو القعود
MISAAL: Aanhazrat Sallallahu Alahi Wasallam ka farmaam e paak hay k makhkhi peenay ki cheez may girjaye to usay gouta day kar nikal kar phenk do aur wo cheez napaak nahi hoti - is Hadees say mujtahideen nay ijma'an ye illat talaash karli k makhkhi ki raghoon may dam e masfooh {Raghoon may dordhnay phirnay wala khoon} nahi hay - is liye jis jaanwar may ye illat paayi jaaye gi waha yahi hukum paya jaye ga chunacha Machchar , Jugnoo , Bhirdh , Chiuoti wagerah sekrdhoon jaanwaroon ka hukum maloom hogaya k in kay girnay say ijma'an cheez napaak nahi hoti - isy tarah Kitab o Sunnat say mujtahideen nay ijma'an ye samjha k Aurat kay pardah ka itna aehtmaam hay k baaz ijma'ayi Sunnatain maslan Azan , Iqaamat , Imaamat balkay baaz Faraayiz misel Jumma'h o Jihaad is say saqit kardiye gaye - pus namaz may bhi is kay satar ka kamil khayaal rakha gaya.
نمبر 01 = عن وائل بن حجر رضی الله عنه قال قال رسول اللهصلی الله علیه وسلم یا وائل بن حجر اذا صلیت فاجعل یدیك حذاءاذنیك والمرأۃ تجعل یدیها حذاء ثدییها
TARJUMAH : Aanhazrat Sallallahu Alahi Wasallam nay farmaya k Aey Ibne Hijr jub tum namaz pardho to kanoon kay baraaber hath authao aur Aurat apnay hathoon ko chhati kay baraaber authaye.
[KANZ UL AAMAAL PAGE 307 JILD 7 + MAJMA UL ZAWAAYID PAGE 103 JILD 2 & PAGE 374 JILD 9 + TIBRANI PAGE 219 JILD 22]
Isy per amal ummat may jaari raha - markaz e islam Kufa'h may Imam Hammad yahi fatwa'a detay thay k Aurat jub namaz shuru'o karay to apnay hath chhati tak authaye.
Manb'ae is islam Madina'h Munawwarah may Imam Zahri Rehmahullah yahi fatwa'a detay thay k Aurat apnay hath apnay kandhhoon tak authaye aur Umme Darda'a Razi Allahu Aunha bhi kandho tak hath authati theen.
عن عبد ‎ربه بن سلیمان بن عمیر قال رأیت ام الدرداء ترفع یدیهافیه الصلة حذ و منکبیها
[JUZ'a RAFA UL YADAIN LIL IMAM AL BUKHARI PAGE 7]
Hazrat Abdur Rabah Bin Suleman Bin Umair Rehmahullah farmatay hain k may nay Hazrat Umme Darda'h Razi Allahu Aunha ko dekha k Aap namaz may apnay donoon hath kandhoon tak authati hain.
Is tarah Majma'a ul Islam Makkah Mukarrimah may Hazrat Ata'a yahi fatwa'a detay thay aur farmaya kartay thay k hath authanay may Aurat Mard ki tarah nahi hay.
[IBNE ABI SHEEBA'H PAGE 239 JILD 1]
Aur is kher ul quroon may kisi 1 fard nay bhi is per aetraaz na kiya kiyo kay laamazhab is zamanay may na thay.
02 = Austaaz ul Ulama'a Hazrat Moulana Abdul Hayi Lakhnavi Rehmahullah tehreer farmatay hain:
واما فی حق النساء فاتفقوا علی ان السنة لهن وضع الیدین علیالصدر
[ALSI'AAYA PAGE 156 JILD 2]
Aurtoon kay muta'lliq sub ka ittefaaq hay k in kay liye sunnat seenay per hath rakhna hay.
قال الامام ابو الحسن علی بن ابی بکر الفرغانی الحنفی {رحمهاللهو المرأۃ ترفع یدیها حذاء منکبیها ھو الصحیح لانه استرلها وقال ایضأ و المرأۃ تنخفض فی سجودھا و تلزق بطنها بفخذیها لانذلك استرلها
[HIDAYA'H PAGE 483]
Imam Abul Hasan Ali Bin Abu Bakar Rehmahullah farmatay hain "aur Aurat apnay donoon hath apnay mondhhoon tak authaye yahi saheeh hay kiyo kay ye tareeqah is kay liye ziyada pardah ka hay nez aagay chal ker farmatay hain , aur Aurat apnay sijda'h may past rahay aur apnay pait ko ranoon say milaye kiyo kay ye is kay liye ziyada pardah ka bayis hay.
Ye maslah bhi ijma'ayi hay aur Ijma'e Ummat ka mukhalif bahukum e Quran o Hadees dozakhi hay aur Hadees may ijma'a say katnay walay ko SHETAN bhi kaha gaya hay.
Afsoos hay k germuqallideen Mard bhi Aurtoon ki tarah namaz pardhtay hain - 1 jagah ger muqallideen ka wajood nahi tha - koi germuqallid waha namaz pardh raha tha us ka yeh naya tareeqah dekh kar 2 shukhs aapas may batain karnay lagay k ye ajeeb aadmi hay k Khuda nay is ko Mard banaya mager ye namaz Aurtoon wali pardhta hay - dusray nay kaha is nay namaz apni "Bey Bey Jee" say seekhi hogi - is liye wesi hi namaz pardhta hay.
03 = Mardoon ko chhoti aungli aur anghothay ka halqah banakar bayain kalayi ko pakardhna chahiye aur dahini 3 aungliyaan bayain kalayi per bichhani chahiyain aur Aurat ko dahini hatheli bayain hatheli ki pusht per rakhni chahiye , halqah banana aur bayain kalayi ko pakardhna na chahiye.
[SHAMI PAGE 339 JILD 1]
Aurat kay liye is tarah hath rakhna bhi ijma'ayi maslah hay is may kisi ka ikhtelaaf manqool nahi.
FAIDA'H : Aanhazrat Sallallahu Alahi Wasallam kay {Namaz may} hath bandhnay ki rivayaat mukhtalif hain - kisi may hay k Aap Sallallahu Alahi Wasallam nay dayaan hath bayain hath per rakha , kisi may hay k dayain hath say bayain hath ko pakrdha , kisi may hay k dayaan hath bayain bazu per rakha - Fuqaha'a jo Bafarmaan e Rasool Sallallahu Alahi Wasallam Hadees kay ma'ani ziyada samajhtay hain aunhoon nay aesa tareeqah samjhaya k tamaam Ahaadees per amal hogaya - hatheli hatheli per bhi agayi , aungli aur anghothay say bayain hath ko pakardh bhi liya aur dayain hath ki aungliyaan bayain bazu per bichh bhi gayeen.
04 = Mardoon ko ruku'o may achhi tarah jhhuk jana chahiye k sir aur sireen aur pusht baraaber hojayain aur Aurtoon ko is qadar na jhhukna chahiye balkay sirf is qadar k in kay hath ghutnoon tak pohonch jayain.
[AALAMGIRI] is may bhi satar ka ziyada aehtmaam hay aur is kay khilaaf bhi kisi say manqool nahi.
05 = Mardoon ko ruku'o may aungliyaan kushaadah karkay ghutnoon per rakhni chahiyain aur Aurtoon ko bagair kushaadah kiye huwe balkay milakar rakhni chahiyain.
[AALAMGIRI] kiyo kay is may satar ka ziyada aehtmaam hay.
06 = Mardoon ko haalat e ruku'o may kohniyaan pehlo say alehdah rakhnay chahiyain aur Aurtoon ko mili huwe.
[AALAMGIRI]
07 = Mardoon ko sijdoon may pait ranoon say aur bazu baghal say juda rakhnay chahiyain aur Aurtoon ko milakar rakhnay chahiyain [AALAMGIRI].
08 = Mardoon ko sijday may kohniyaan zameen say authi huwe rakhni chahiyain aur Aurtooon ko zameem per bichhi huwe [AALAMGIRI].
09 = Mardoon ko sijdoon may donoon paaon aungliyoon kay bal khardhay rakhnay chahiyain Aurtoon ko nahi [AALAMGIRI].
عن ابن عمر رضی الله عنه مرفوعأ اذا جلست المرأۃ فی الصلوۃوضعت فخذھا علی فخذها الا خری فاذا سجدت الصقت بطنها فیفخذیها کاستر ما یکون لها فان الله تعالی ینظر الیها یقول یاملائکتی اشهدکم انی قد غفرت لها
[BEHQI PAGE 223 JILD 2]
TARJUMAH: Aanhazrat Sallallahu Alahi Wasallam nay farmaya k Aurat jub namaz may bethay to 1 raan dusri raan per rakhay aur jub sijdah karay to apna pait apni ranoon kay sath milalay jo ziyadah satar ki haalat hay , Allah Ta'ala isay dekh kar farmatay hain Aey Farishtoon!! Gawaah hojao may nay is Aurat ko Bakhsh diya.
Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Aunhu farmatay hain k Aanhazrat Sallallahu Alahi Wasallam Mardoon ko hukum diya kartay thay:
ان یتجافوا فی سجودھم
khoob khul kar sijdah karain. aur Aurtoon ko hukum diya kartay thay:
ان یتخفضن فی سجودھن
k wo khoob simat kar sijdah kiya karain [BEHQI PAGE 222 JILD 2].
Imam Abu Dawood Rehmatullahi Alahi maraseel may rivaayat farmatay k Aanhazrat Sallallahu Alahi Wasallam 2 Aurtoon kay paas say guzray jo namaz pardh rahi theen to farmaya:
اذا سجدتما فضما بعض اللحم الی الارض فان المرأۃ فی ذلك لیستکالرجل
[PAGE 223 JILD 2] jub tum donoon sijdah karoon to apnay jisam ko zameem say milaado beshuk Aurat is baray may Mard ki tarah nahi hay.
Aakhiri Khalifah Rashid Hazrat Ali Karam Ullahi Ta'ala Wajhu farmaya kartay thay k:
اذا سجدت المرأۃ فلتحفر ولتضم فخذیها
[IBNE ABI SHEEBAH PAGE 302 JILD 1] jub Aurat sijdah karay to khoob simat kar sijdah karay aur apni ranoon ko milalay.
Jub Hazrat Abdullah Bin Abbas Razi Allahu Aunhu say Aurat ki namaz kay baray may sawal huwa to farmaya:
تجتمع و تحتفز
[IBNE ABI SHEEBAH PAGE 302 JILD 1]
yani khoob ikhatti hokar aur simat kar namaz pardhay.
عن مجاھد انه کان یکرہ ان یضع الرجل بطنه علی فخذیه اذا اجدکما تضع المرأۃ
[MUSANNIF IBNE ABI SHEEBAH PAGE 27 JILD 1]
Hazrat Mujahid Rehmahullah is baat ko mukrooh jantay thay k Mard jub sijdah karay to apnay pait ko ranoon per rakhay jesa k Aurat rakhti hay.
Isy tareeq per amal jari raha - chunacha Kufa'h may Imam Ibrahim Bin Nakhyi Rehmahullah yahi fatwa'a detay thay k Aurat Mard ki tarah khul kar sijdah na karay balkay khoob simat kar sijdah karay- Madinah Munawwarah may Hazrat Mujahid Rehmahullah aur Basrah may Imam Hasan Basri Rehmahullah yahi fatwa'a detay thay.
[IBNE ABI SHEEBAH PAGE 302 + 303 JILD 1]
Dour e Sahaba Razi Allahu Aunhum , Tabayeen Rehmahumullah , Taba'a Tabayeen Rehmahumullah may say kisi nay is per inkar nahi farmaya aur Aayimma'h Arba'h ka bhi is per ijma'a hay.
10 = Mardoon ko bethnay may bayain paaon per bethna chahiye aur dayain paaon ko aungliyoon kay bal khardha rakhna chahiye aur Aurtoon ko bayain sireen kay bal bethna chahiye aur donoon paaon dayain taraf nikal denay chahiyain , is tarah k dahini raan bayain raan per aajaye aur dayain pindili bayain pindili per [AALAMGIRI].
Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allahu Aunhu say pucha gaya k Aurtain Aanhazrat Sallallahu Alahi Wasallam kay zamanay may kis tarah namaz pardhti theen? Farmaya k pehlay chokrdhi bethtti theen phir in ko hukum diya gaya k khoob simat kar betha karain.
[JAMA'E ALMASAANID IMAM E AZAM PAGE 400 JILD 1]
Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Aunhu farmatay hain k Aanhazrat Sallallahu Alahi Wasallam Mardoon ko hukum diya kartay thay k tashahud may dayaan paaon khardha rakhain aur bayaan paaon bichha kar is per betha karain aur Aurtoon ko hukum diya kartay thay k simat kar bethain.
[BEHQI PAGE 222 JILD 2]
Pehli tamaam rivayaat aur ummat ka ijma'a bhi isy ki tayeed may hay.
Moulana Muhammad Dawood Gaznavi kay walid Imam Abdul Jabbar Gaznavi say sawal kiya gaya k Aurtoon ko namaz may inzimaam karna chahiye ya nahi? Aap nay jawab may pehlay maraseel Abu Dawood wali Hadees naqal kar kay likha: "isy per ta'ammul Ahle Sunnat Mazaahib e Arba'h wagerah say chala aaya hay". Phir charoon mazaahib ki kitaboon say hawalay pesh karkay tehreer farmatay hain: "garz k Aurtoon ka inzimaam o inkhifaaz namaz may Ahaadees o ta'ammul jamhoor Ahle Ilm az Mazaahib e Arba'h wagerahum say sabit hay - is ka munkir Hadees o Ta'ammul aehl e ilm say bekhabar hay".
[FATAWA'A GAZNAVIYAH PAGE 27 + 28 = FATAWA'A ULAMA'E AHLEHADEES PAGE 148 + 149 JILD 3]
ALGARZ: Ahaadees e mazkorah aur ijma'e ummat is per nas hain k in masayeel may Mard aur Aurat ki namaz may farq hay - Ibne Hazam aur is kay muqallideen kay paas koi nas hergiz moujood nahi - Fuqaha'a nay ijma'an in Ahaadees say amoom muraad nahi liya aur ma'ani Ahaadees may Fuqaha'a per hi aetmaad asal DEEN hay.
AURTOON KA MASJID MAY AAKER NAMAZ PARDHNA
AETRAAZ: Hadees may aata hay k Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam nay farmaya k Aurtain eid ki namaz may mardoon kay sath shareek hoon aur Aap Sallallahu Alahi Wasallam nay ye bhi farmaya k Aurtoon ko masjid may aakar namaz pardhnay say mat roko - mager Fuqaha'a nay Hadees kay bilkul khilaaf Aurtoon ko masjid may aana jama'at ya jumma'h ya eid kay liye mukrooh qaraar day diya hay jo Rasoolullah Sallallahu Alahi Wasallam ka khula muqabilah hay.
JAWAB: Jis tarah ahlequran {munkireen e hadees} naami firqah ye piropegandah karta hay k Ahaadees Quran kay khilaaf hain , maslan wo kehtay hain k Quran Paak may tabattul ka hukum hay
وتبتل الیه تبتیلا = المزمل
Aur Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam nay tabattul say mana'a farmadiya hay:
ان النبی صلی الله علیه وسلم نهی عن التبتل
[TIRMIZI PAGE 398 JILD 1]
Aur Quran paak may musafir wagera kay liye hukum hay.
"وان تصوموا خیرلکم"
k roza rakhna behtar hay - aur Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam nay farmaya:
"‎لیس من البر الصیام فی السفر"‎
safar may roza rakhna koi neki nahi. Yeh khullam khulla Rasoolullah Sallallahu Alahi Wasallam nay Khuda ka muqabilah kiya hay - hum kehtay hain k Allah Ta'ala aur is kay Rasool Sallallahu Alahi Wasallam may na ikhtelaaf hay na muqabilah - ye sirf aap {Munkireen e Hadees} ki kaj fehmi hay , yahi haal in germuqallideen ka hay k ye Hadees aur Fiqa'h may muqabilah sabit karnay kay liye dhoka detay hain - jis tarah ahlequran {munkireen e hadees} say hum kehtay hain k feham e quran may jub Rasool e Aqdas Sallallahu Alahi Wasallam say munkireen e hadees ikhtelaaf karain gay to Aanhazrat Sallallahu Alahi Wasallam kay feham e Quran per aetmaad hoga na k munkireen e hadees kay feham e Quran per - is tarah jub Fuqaha'a aur germuqallideen kay darmiyaan feham e Quran o Hadees may ikhtelaaf hoga to bahukum Allah Ta'ala:
لیتفقهوا فی الدین
aur bahukum Rasoolullah Sallallahu Alahi Wasallam:
رب حامل فقه غیر فقیه = الحدیث
aur batehqeeq muhaddiseen
الفقهاء اعلم بمعانی الحدیث
[TIRMIZI] feham e Fuqah'a per aetmaad hoga na k ger muqallideen ki kaj fehmi per aetmaad hog.
Zer e behas maslah may na to Fuqaha'a nay kabhi ye kaha k Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam kay zamanay may Aurtain masaajid may nahi jati theen , na Aap Sallallahu Alahi Wasallam kay hukum say inkar kiya albatah Fuqaha'a ka ye kehna hay k Quran ka bhi her hukum 1 darjah may huwa. امر ka seegah baaz auqaat wajoob kay liye aata hay jesay
اقیموا الصلوۃ
kabhi istehbaab kay liye jesay
فکلوا منها و اطعمو البائس الفقیر
kabhi abaahat kay liye jesay
و اذا حللتم فاصطادوا = القرآن.
Fuqaha'a ka kehna hay k Mardoon ko masjid may bajama'at namaz adaa karnay ka hukum takeedi tha lekin Aurat kay liye ye hukum na istehbaab kay liye tha na takeed kay liye - isy liye Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam nay farmaya "ager gharoon may Aurtain aur bachchay na hotay to may un gharoon ko jalanay ka hukum deta jin kay mard masjid may nahi [MISHKAT]. Aap Sallallahu Alahi Wasallam nay Aurtoon ko ijaazat zaroor di mager sath hi farmaya:
نمبر 01 = عن ام سلمة زوج النبی صلی الله علیه وسلم خیرمساجد النساء قعر بیوتهن
[MUSTADRIK HAAKIM PAGE 209 JILD 1]
Hazrat Umme Salmah Razi Allahu Aunha say rivaayat hay k Aanhazrat Sallallahu Alahi Wasallam nay farmaya k Aurtoon kay liye in kay namaz pardhnay ki jaghoon may sub say behtar jaga in kay gharoon kay androni hissay hain.
02 = Hazrat Umme Salmah Razi Allahu Aunha hi farmati hain k Rasool e Akram Sallallahu Alahi Wasallam nay farmaya k Aurat ka ander kamray may namaz pardhna baraamday may namaz pardhnay say behtar hay aur baraamday may namaz pardhna sehan may namaz pardhnay say behtar hay.
[TIBRANI MAJMA UL ZAWAAYID PAGE 34 JILD 2]
نمبر 03 = عن ابن عمر رضی الله عنه قال قال رسول الله صلیالله علیه وسلم لا تمنعوا نساءکم المساجد و بیوتهن خیر لهن
[MUSTADRIK HAAKIM PAGE 209 JILD 1]
Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allahu Aunhu say rivaayat hay k Aanhazrat Sallallahu Alahh Wasallam nay farmaya apni Aurtoon ko masaajid may jaanay say mana'a na karo aur in kay liye in kay ghar ziyada behtar hain.
04 = Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allahu Aunhu say rivaayat hay k Huzoor Sallallahu Alahi Wasallam nay farmaya k Aurat chhupanay ki cheez hay jub wo ghar say nikalti hay to shetan is ko taakta hay {ya'ani logoon kay diloon may us kay muta'alliq ganday khayaalaat aur wasaawis daalta hay} aur Aurat apnay ghar ki sub say band kothrdhi hi may Allah Ta'ala kay bohot qareeb hoti hay.
[ALTARGEEB WALTARHEEB PAGE 188 JILD 2 BAHAWALA TIBRANI]
05 = Isy tarah ki Hadees Hazrat Abdullah Bin Masood Razi Allahu Aunhu say bhi marvi hay.
[MAJMAUL ZAWAAYID PAGE 35 JILD 2]
06 = Ummul Momineen Hazrat Aayishah Siddiqah Razi Allahu Aunha say rivaayat hay k Aanhazrat Sallallahu Alahi Wasallam masjid may tashreef farma thay , itnay may 1 Aurat aayi aur bardhay naaz say zeenat kiye huway masjid may dakhil huwe - Aanhazrat Sallallahu Alahi Wasallam nay farmaya "Aey logoon! Apni Aurtoon ko mana'a karo zeenat ka libaas pehan kar aur naaz kay sath masjid may aanay say - is liye bani israel per la'anat nahi huwe {ya'ani Allah ka gussa in per nahi autra} yahaan tak k in ki Aurtoon nay banao ki aur masjidoon may naaz kay sath daakhil honay lageen.
[IBNE MAAJAH MUTARJIM PAGE 276 JILD 3]
07 = Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Aunhu nay 1 Aurat ko dekha k masjid ko jarahi hay aur khushbo lagaaye huway hay , Aunhoon nay kaha Aey Allah ki bandi to kahaan jaarahi hay? Wo boli masjid may , Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Aunhu nay kaha tu nay khushbo lagaayi hay? Wo boli haan - Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Aunhu nay kaha may nay Janab Rasoolullah Sallallahu Alahi Wasallam say suna hay Aap Sallallahu Alahi Wasallam farmatay thay k jis Aurat nay itar lagaya aur masjid may gayi is ki namaz qabool na hogi yahaan tak k ghusal karay {ya'ani khushbo ko dhho dalay apnay badan aur kaprdhay say}.
[IBNE MAAJAH PAGE 276 JILD 3]
08 = Hazrat Umme Hameed {jo Aap Sallallahu Alahi Wasallam kay Sahabi Abu Hameed Alsaadi Razi Allahu Aunhu ki biwi hain} farmati hain k hamaray qabeelay ki Aurtoon ko hamaray khaawind masjid may aanay say mana'a kartay thay - may nay Rasool e Aqdas Sallallahu Alahi Wasallam ki khidmat may arz kiya k hamara dil chahta hay k Aap Sallallahu Alahi Wasallam kay sath bajama'at namaz pardha karain mager hamaray khaawind hamain is say mana'a kartay hain to Aap Sallallahu Alahi Wasallam nay farmaya k tumhara gharoon kay ander namaz pardhna baraamday may namaz pardhnay say behtar hay aur baraamday may namaz pardhna sehan may namaz pardhnay say behtar hay aur sehan may namaz pardhna {meray sath Masjid Nabavi Sallallahu Alahi Wasallam may] bajama'at namaz pardhnay say behtar hay.
[TIBRANI , MAJMAUL ZAWAAYID PAGE 34 JILD 2]
Is kay baad Umme Hameed Razi Allahu Aunha nay hukum diya k meray ghar kay tareek kamray may meri namaz ki jagah banado aur wo visaal tak waheen namaz adaa farmati raheen.
[MAJMAUL ZAWAAYID PAGE 34 JILD 2]
نمبر 09 = عن عائشة رضی الله عنها قالت لو ادرك رسول اللهصلی الله علیه وسلم ما احدث النساء لمنعهن المسجد
[BUKHARI PAGE 120 JILD 1 = MUSLIM PAGE 183 JILD 1 = ABDUL RAZZAQ PAGE 149 JILD 3]
Ummul Momineen Aayishah Siddiqah Razi Allahu Aunha nay kaha ager Aanhazrat Sallallahu Alahi Wasallam is {Azaadi} ko dekh letay jo Aurtoon naz zahir ki hay to Aap Sallallahu Alahi Wasallam in ko masjid may janay say zaroor mana'a farmadetay.
10 = Hazrat Abdullah Bin Masood Razi Allahu Aunhu jummah kay din Aurtoon ko masjidoon say nikaal detay aur farmatay apnay ghar jao - tumharay ghar tumharay liye behtar hain.
[MAJMAUL ZAWAAYID PAGE 35 JILD 2]
11 = Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allahu Aunhu jummah kay rouz khardhay hokar Aurtoon ko kankariyaan maar maar kar masjid say nikaaltay.
[UMDAT UL QARI PAGE 228 JILD 3] ye sub Sahaba ki moujoodgi may hota tha.
12 = Hazrat Farooq e Azam Razi Allahu Aunhu jub masjid may namaz kay liye tashreef laatay to aapki biwi Hazrat Aatkah Razi Allahu Aunha bhi pechay holaiteen - Hazrat Umar Razi Allahu Aunhu bohot hi gaiyoor thay , wo in kay masjid jaanay ko mukrooh jaantay thay.
[MAJMAUL ZAWAAYID PAGE 33 JILD 2]
Mandarjah baala Ahaadees say chand batain ma'aloom huween.
Aanhazrat Sallallah Alahi Wasallam kay zamanay may hi qabeelah Bani Saayid kay logoon nay apni biwiyoon ko masjid may aanay say rokna shuru'o kardiya tha - Aanhazrat Sallallah Alahi Wasallam nay in khawandoon ko nahi daanta balkay Aurtoon ko gharoon may namaz pardhnay ki targheeb di - Hazrat Aayishah Razi Allahu Aunha , Hazrat Abdullah Bin Masood Razi Allahu Aunhu aur Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Anhuma diger Sahaba Kiraam ki moujoodgi may sakhti say masjid say aanay say roktay thay k ab dour fitnay ka agaya hay aur kisi Sahabi nay in ki mukhalifat nahi ki na in ko mukhalif e Hadees kaha.
Ab germuqallideen jo is baat per zour detay hain k Aurtain masaajid may aakar jama'at , jumma'h , eidain may shareek hoon , shayid ye loog apnay imam masjid ko Rasolullah Sallallahu Alahi Wasallam say ziyada muttaqi auq parhezgaar samajhtay hain aur apni masjid ko Masjid e Nabvi say ziyada muqaddas khayaal kartay hain aur apnay aaj kay zamanay ko Kherul Quroon ya'ani "Dour e Nubuwwat aur Dour e Sahabb" say behtreen zamana khiyaal kartay hain aur apni Aurtoon ko Sahabiyat Razi Allahu Aunhuma aur Tabiyaat Rehmahullah say ziyada afeef aur paak baaz jantay hain - ager ye nahi hay to phir jis kaam ki Hazrat Sallallahu Alahi Wasallam nay takeed nahi farmayi , Sahaba Kiraam Razi Allahu Aunhum nay shadeed mukhalifat ki aap loog is ko itna Mou'kkad kiyo samajhtay hain k is per Fuqaha'a ko gali galoch denay tak ko jayiz samajhtay ho aur musalmanoon ki masaajid may fitna daaltay ho - halaankay fitna daalna qatal say bhi bardha gunaah hay.
Bataayiye is fahaashi aur auryaani kay dour may is baat ki guarantee germuqallideen hi day saktay hain k Aurtain khushbo , Powder aur bhardkeela libaas istema'al na karain gi aur nigaah nechi rakhain gi aur rastay may Fussaaq aur Fujjaar ki nigaahain bhai nechi rahain gi.
Algarz Fuqaha'a nay fitnay ki wajah say Aurtoon ko masaajid may aanay say roka hay - fitnay ka aehsaas jub Kherul Quroon may hi hogaya tha to is dour may fitnay ka inkaar kon kar sakta hay aur kis Aayat aur Hadees may hay k fitnah ki haalat may hi Aurtoon ko masjid may janay ki takeed hay?
YA ALLAH !! Sahi baat ko samajhna aur us per amal karni ki toufeeq ataa farma aur zid ta'assub or hatdharmi say hamain bachaa.
AAMEEN SUMMA'H AAMEEN

0 comments:

Post a Comment

If you like this post, please pray for Us.

love to hear from you! Leave me a comment.